Skip to main content

kasam hai ye

Hal e dil apna tmko sunana hai
kuch baatein hain dil me mere, jo tmko batana hai
ajkal ye raatein thodi alag lgti hain mujhe,
unhi kuch raato ki kahani tmko sunana hai

samjh ni ata kaha se shuru karu
tere ankhme me khone se darta hu
pata ni tha ki tm mujhe yu mil jaoge
aur ab tmse durr hone ki baat se bhi darta hu

naya shehar, naye logg aur naye jindagi thi
kuch dhundh ni raha tha mai, bas jindagi thodi akeli thi
pata ni tha khuda aise khel khelega
mere akele se dil k liye, ek sahara bhejega

pata ni kya hai teri inn ankho me
inki gehraiyo me kahi kho jata hu mai
tera hasna, tera bolna aur meri baate sunn kar yu sharmana
bass tere bare me sochte huye, ab soo jata hu mai

ab jo thama hu hath tmhara
kasam hai ki ye hath kabi chhodunga ni
agar kabi koi shikwa hogi to keh dunga tmse
kasam hai ye, ki sath chhodunga ni
kasam hai ye, ki sath chhodunga ni





Comments

Popular posts from this blog

Tera jikr

Aj phir tera jikr hua Aj phir teri baat chali Sapno me aj achanak Tujhse kuch yu mulakat huye Aj phir mile wo panne Jinko maine phad diya tha Aj phir gire ansu inn namm ankho se Jinko maine poch liya tha Par bhul chuka tha mai tujhe Teri har baat bhula di thi Is pagal dil ko bht samjhya, bht manaya Isko teri adat chodda di thi Phir kyu ab is patthar dil me dard hota hai Kyu bistar pe letne k baad ye dil roj rota hai Kyu ye ni manta ki tu jaa chuki hai Kyu ye pagal tera roj intajaar karta hai Muskura deta hu yaaro ki bato pe Vyast rehne ka bahana karta hu Dhakk chuka hu is hare kagaj k kambal se Par is kambal k andar mai har raat rota hu

Jab yaad ayegi teri

Jab yaad ayegi teri, do aansu gira lunga Bahut royega ye mann, isko mana lunga Chote bahut hain iss dil pe, unko chupa lunga Jab yaad ayegi teri do aansu gira lunga Par samjha lunga mai ise, masoom hai...behek jata hai Jab teri yaad ati hai, koi gaana sa gun gunata hai Bahut dard hai unn gano me, kaise samjhau tmhe Tmhe dekhta hai, to fir kahi kho jata hai Ab na ho paega ye mujhse, insaan hu, thakk jata hu Tujhe bhulana to durr, teri yaado me kho jata hu Ab teri kahi harr baat apne mann se mita dunga Par jab yaad ayegi teri, do aansu gira lunga

Wo thandi andheeri raat

Wo thandi andheeri raat Bahut dur agaya hu chalte chalte Dar hai, kahi kho na jau Samne hai namzil par raat hai gehari Dar hai......kahi so na jau Kun uthega mujhe meri neend se... Jisme mai jhuthe sapne me khoya rahunga... Jhuth ka andhera mujhe gher lega... Aur mai kuch na kar paunga..... Dar ye nahi ki manzil kathin hai... Bas itna gum hai ki wo sath nahi.... Wada kiya tha sath rehage.... Par Ab shayad usko meri parwah nahi... Hath usne choda ki maine ye to yaad ni... Par dil me dard ab utha hai.... Jab manzil samne hai par.... Manzil tak pahuchane wala piche chutt chuka hai.....